Social Networking




Hum Apnay phalay lesson mein yeh sekhay gay k earning karni kesay hai.Jesay kay mein ap koIntroduction mein pata chuka hun kay earning kay bohot se tareeqay hai jesay kay kisi Company ki advertisement karna, Yah phir kisi ki Web per traffic dena, Task puray karna, Data entry karna blogging ,Articles likhna or bohot kuch per yeh sab kaam hum nahi akhatay nahi kar saktay is kay liye time fix karna hoga .

Per sab se important cheez hai Social Networking. Social networking akhtir hai kya. Ager hum Simple Wording mein bolain to ap ka online connection kin kin kay sath hai.Ap ka jinta ziyada connection hoga ap utna hi ziyada advertisement kar saktay hai . Online earning kay liye ap ka social Network Strong hona chihiyeh or yeh kesay mumkin hai .

Is waqt Dunya ki sab se bari Social Webs hai Twitter,Youtube,or Facebook.Apko Apnay social Network Strong karnay kay liye Facebook,Twitter,Youtube or asi Bohot se Social Networking websites ko join karna hoga. Logo Ko friend banain unkay friends banay,Twitter per logo o follow karain ta kay woh ap ko follow karein is per itna time nahi lagay ga .

Facebook:
           Mostly friends ka Facebook to zaroor hoga .Jin na nahi hai woh join karein or friends banain tak kay kal un se ap ko faida ho ,Facebook per Groups join karein ,Groups mein posting karein Logo ko comment karein jo ap humesha se hi kartay hai

Twitter:
                    OK ab twitter ki baat kartay hai accually Twitter aik asa platform hai jahan ap g bher gay Advertisement kar saktay apnay product ki,logo kay product ki. mein ye sochta hun kay Facebook se twitter best hai. Facebook kay bare mein taqeeban sab ko bata hai us per friend kesay banatay hai per twitter ka bohot kaam logo ko pata hai .Is Liye aj hum samjhay gay kay twitter per logo ko follow kesay karna hai unko follow kesay karwa hai ap kay jitnay ziyada followers ho gay utna hi ziyada faida hoga.

Step By Step Chaltay hai


Step 1:
 yahan se Twitter ko open karein or Signup Per click kar kay form fill karein 


Step 2: 

Form Jab ap Submit karein gay to twitter ap kay Email Address per Aik verification link send send kare ha.Ap ko apnay Email per ja kar us Verfication  Link ko click open karna hai jab ap asa karo gay to ap ka Twitter account Verify Ho jai ga .Ab ap Apni profile ko Edit karien or apni detail kp update karien 


Step 3:

Jab Ap ka twitter account ban jae ga to wahan se logo ko follow karein ap ko daily kay 50 Se 100 Logo ko Follow karna hai jab ap logo ko follow laro gay to ap ko log follow karein gay aik asa aai ga kay ap ko logo ko follow karnay ki zaroorat nahi pare go log ap ko khud follow kare gay 

Ab kaam ki baat yeh hai jab ap kisi ko follow karo gay or woh ap ko follow na kare to ap un ko unfollow kardo ab yeh kesay karna hai .Is kay Aik web hai unfollowers .

Apko is web per ja kar Apnay twitter account se login hona hai or Jis logo ko apnay follow kiya hai or unho nay ap ko follow nahi liya to ap unko unfollow kardo kyun kay ager woh ap ko follow nahi kartay to ap ko unka koi fiada nahi hai. Unfollow 2 se 3 din baad karna foran hi nai karna or jo ap ko follow kar kar rahay or ap un ko follow nahi kar rahay to is web se ap unko b follow kar saktay hai

Youtube ki baat baad mein karien gay 

Bore nahi hona Lesson 2 mein hum Earning karein ka tereeqa sekhay gay 

Ager ap ko koi question pocha  hai to ap comment mein likh saktay hai IN SHA ALLAH mein ap ko zaroor jawab dun ga

No comments:

Post a Comment